आपका सपना, हमारी ज़िम्मेदारी

SINCE 2007 Jaipur ke 500+ parivaaron ka bharosa

Construction Company in Jaipur Sapnon ka ghar, zimmedari hamari.

Plot dhoondhne se le kar naksha banwane, material lene aur chaabi haath mein aane tak — Anuda parivaar har kadam pe aapke saath hai. 500+ ghar, 430+ quality checks aur 10 saal ki structural warranty — sab likhit mein.

4.5★★★★★Google rating · 134 reviews
19+saal ka
anubhav
ANUDA
Slab casting completeSite update · WhatsApp pe
Vastu-compliant nakshaby Anuda Architect
430+ checkshar project mein
Anuda Parivaar

Ek naam, chaar bharosemand brands.

Ghar banane ka safar kai logon se ho kar guzarta hai — property dealer, architect, contractor, material wala. Anuda ne in sabko ek parivaar bana diya, taaki aapko alag-alag jagah bhatakna na pade aur har kaam ki zimmedari ek hi naam ki ho.

  • ✓ Ek point of contact
  • ✓ Ek bill, poori transparency
  • ✓ Har kaam ka expert
घर बनवाना है?

Anuda Construction

Jaipur mein turnkey home construction aur civil contracting. Neev se finishing tak engineer ki nigraani, branded material aur tay samay pe chaabi aapke haath mein.

  • Turnkey Homes
  • Civil Contractor
  • Site Supervision
  • Bungalows
नक्शा चाहिए?

Anuda Architect

Residential aur commercial architecture, interior planning, Vastu analysis aur 3D visualisation — concept se completion tak. Ghar banne se pehle hi 3D mein dekh lijiye.

  • 2D / 3D Plans
  • Vastu
  • Interiors
  • VR Walkthrough
प्लॉट या फ्लैट ढूँढ रहे हैं?

Anuda Live

Jaipur ka real estate portal — plots, flats, villas aur commercial property ek jagah. Documents ki jaanch, sahi daam aur site visit tak poora saath.

  • Plots in Jaipur
  • Flats & Villas
  • Commercial
  • Resale
मटेरियल लेना है?

Anuda Mart

Cement, sariya, tiles, paint aur sanitary — Tata Steel, JSW, UltraTech, Asian Paints jaise brands ka asli maal, sahi rate pe, seedha aapki site pe.

  • Cement & Steel
  • Tiles & Marble
  • Paints
  • Site Delivery
Hamari Sevaayein

Neev se finishing tak, sab kuch ek chhat ke neeche.

Chahe naya ghar banwana ho, purane ko naya roop dena ho ya sahi plot dhoondhna ho — har zarurat ke liye Anuda ke paas experienced team hai.

घर निर्माण

Turnkey Home Construction

Naksha approve hote hi kaam shuru — structure, plumbing, electrical, flooring se le kar chaabi tak, sab hamari zimmedari.

Aur jaaniye
ढांचा निर्माण

Structure / Grey Work

Neev, column, RCC slab aur brickwork — branded cement-sariya ke saath, engineer ki nigraani mein.

Aur jaaniye
नक्शा व 3D

Architecture & 3D Design

2D floor plan, 3D elevation aur VR walkthrough — banne se pehle hi apna ghar dekh lijiye.

3D designs dekhein
वास्तु परामर्श

Vastu Consultation

Main gate, rasoi, pooja ghar aur bedroom ki sahi disha — Vastu aur modern design ka santulan.

Vastu naksha planner
इंटीरियर

Interior Design

Modular kitchen, wardrobe, false ceiling aur lighting — aapke budget aur pasand ke hisaab se.

Aur jaaniye
मरम्मत व नवीनीकरण

Renovation & Remodeling

Purane ghar ko naya roop — kitchen, bathroom, flooring ya poora makeover, kam se kam pareshani mein.

Aur jaaniye
स्मार्ट होम

Smart Home Automation

Lights, CCTV, door lock aur appliances — sab kuch mobile aur voice se control.

Baat karein
प्रॉपर्टी

Property Buy & Sell

Jaipur mein plots, flats, villas aur commercial space — documents ki jaanch ke saath, bina jhanjhat.

Anuda Live pe dekhein
निर्माण सामग्री

Building Material Supply

Cement, sariya, tiles, paint aur sanitary — branded maal, sahi rate, site pe delivery.

Anuda Mart pe dekhein
0+

घर व प्रोजेक्टHomes & projects delivered

0+

गुणवत्ता जाँचQuality checks per project

0+

साल का अनुभवYears of experience

0★

गूगल रेटिंगGoogle rating · 134 reviews

Construction Packages

Saaf rate, koi chhupa kharcha nahi.

Per sq.ft. rate pehle se tay aur agreement mein lock. Kaun sa material, kaun sa brand, kitni quantity — brand-wise BOQ kaam shuru hone se pehle aapke saamne.

Festive Offer — construction par ₹200/sq.ft. tak OFFStructure ₹100 OFF · Turnkey ₹200 OFF · 8 November 2026 takOffer lijiye

Labour Contract आपका साथी

Material aapka, kaarigar aur kaam hamara

₹399/ sq.ft. se
  • General labour contract (mistri & mazdoor)
  • Tile / marble, POP & color ka kaam
  • Sanitary & light (bijli) fitting
  • Mitti bharai & demolition
  • Furniture, steel railing & iron ka kaam
Labour ka quote lein

Structure Work शुभ आरंभ

Grey structure — majboot neev aur dhaancha

₹1,299/ sq.ft. se

Festive Offer · ₹100 OFF/sq.ft. 8 Nov tak

  • Column base, neev & sand filling
  • Stone wall & brickwork
  • RCC roof casting
  • Plaster work (andar-bahar)
  • UltraTech / Ambuja / Birla cement
  • 10 saal structural warranty (RCC)
Quote mangwaiye

Premium / Custom

Villa, bungalow ya commercial — aapke hisaab se

Customquote
  • Luxury villas, bungalows & showrooms
  • Designer elevation, premium marble
  • Interior + smart home bundle
  • Dedicated project manager
  • 3D / VR walkthrough before build
Baat karte hain

* Rates standard specification ke liye indicative hain. Final quote site visit, design aur material selection ke baad likhit mein diya jaata hai.

Turant Andaaza

Aapke plot pe kitna kharcha?

Turnkey lagbhag₹48.6 lakh
Poora calculator
Anuda Architect · Design Packages

Banne se pehle ghar ko mehsoos kijiye.

Naksha, working drawings, interior aur Virtual Reality — neev khudne se pehle har cheez screen pe tay. anudaarchitect.com

Combo Offer — teeno design packages lijiye, Virtual Reality par 90% OFFArchitecture Plan + Interior Plan + VR · 8 November 2026 takOffer lijiye

Architecture Plan

Floor plan se working drawings tak — poora naksha

₹50/ sq.ft.
  • Floor plan & working drawing
  • Column footing, shuttering & RCC slab drawing
  • Plumbing, sanitary, electrical & drainage drawings
  • 3D elevation & Vaastu analysis
  • Site visit (location ke hisaab se)
Architect se baat karein

Interior Plan

Har kamre ka furniture aur interior pehle se tay

₹50/ sq.ft.
  • Interior consultancy
  • Furniture layout
  • Walk-through video
Architect se baat karein
Anuda ke 6 Wade

Vaade jo agreement mein likhe hote hain.

Ye sirf website ki baatein nahi — har graahak ke likhit agreement ka hissa hain. Sign karne se pehle sab aapke saamne.

10 saal structural warranty

RCC structure — neev (foundation), column, beam aur chhat (slab) — pe 10 saal ki warranty. Handover par likhit warranty certificate.

1 saal termite warranty & home insurance

Structural warranty ke saath 1 saal ki service / termite warranty aur home insurance — Complete (Turnkey) package mein.

Milestone payment, bada advance nahi

Har stage poori aur check hone ke baad hi payment. Shuru mein bada advance nahi maanga jaata.

Fixed price lock

Agreement mein rate lock — material ke daam badhein tab bhi aapki price nahi badhegi. Price sirf tab badlegi jab aap khud scope ya specification badlein, aur woh bhi likhit mein.

Delay penalty clause

Handover ki tareekh contract mein likhi hoti hai. Company ki wajah se handover late hua, to penalty company degi — yeh contract mein likha hota hai.

Brand-wise likhit BOQ

Har quotation mein har material ka brand, grade aur quantity — cement, steel, plumbing, electrical, tiles aur paint.

Poori sharten aapke likhit agreement mein hoti hain. Wadon se jude sawaal-jawab

Kaam Kaise Hota Hai

Bhoomi pujan se Griha Pravesh tak.

Chhe seedhe kadam. Har kadam pe aapko pata rahega ki kya ho raha hai, kab ho raha hai aur kitna kharcha ho raha hai.

  1. Din 1

    Free site visit निःशुल्क विज़िट

    Hamari team aapke plot pe aati hai — mitti, location aur road dekhti hai, aapki zarurat aur budget samajhti hai.

    1
  2. Design

    Naksha, 3D & Vastu नक्शा

    Anuda Architect floor plan, 3D elevation aur Vastu-compliant layout banata hai. Aapki haan ke baad hi aage badhte hain.

    2
  3. Agreement

    Fixed estimate अनुबंध

    Brand-wise BOQ, locked rate, handover ki tareekh aur milestone payment schedule — sab kuch likhit mein.

    3
  4. Construction

    Bhoomi pujan & nirmaan निर्माण

    Neev se slab tak engineer ki nigraani. Har stage ki photo aur video update seedha aapke WhatsApp pe.

    4
  5. Finishing

    430+ quality checks गुणवत्ता जाँच

    Flooring, electrical, plumbing aur paint — har checkpoint pe jaanch ke baad hi sign-off hota hai.

    5
  6. Handover

    Griha Pravesh गृह प्रवेश

    Saaf-suthra ghar, chaabi aapke haath mein aur saath mein 10 saal structural warranty ka likhit certificate. Aapki muskaan hi hamari asli kamai hai.

    6
Anuda Hi Kyun?

Bharosa baaton se nahi, kaam se banta hai.

0+

Quality checks — har ek project mein.

Har stage ka apna checklist hai. Jab tak engineer sign-off na kare, agla kaam shuru nahi hota.

Neev & RCC structure✓
Brickwork & plaster✓
Electrical & plumbing✓
Finishing & handover✓

Zero delay ka vaada

Handover ki tareekh agreement mein likhi hoti hai. Company ki wajah se der hui, to contract ke hisaab se penalty hum dete hain.

Sirf branded material

UltraTech, Tata Steel, JSW, Asian Paints — bill aur brand dono aapke saamne.

Live site updates

Photo aur video report WhatsApp pe. Aap Jaipur mein ho ya videsh mein, site aapki nazar mein.

Transparent billing

Brand-wise BOQ, locked rate aur milestone payment — koi hidden charge nahi. Jo likha, wahi liya.

10 saal structural warranty

Neev, column, beam aur chhat pe 10 saal — saath mein 1 saal termite warranty aur home insurance. ISO certified company.

Ek hi point of contact

Plot, naksha, material, construction — sab ke liye ek project manager.

Anuda Ke Peeche

Har ghar ke peeche 45+ chehre.

Leadership se milein
Vikram Singh Khedhar, Founder & Managing Director — Anuda
Founder

Vikram Singh Khedhar

Founder & Managing Director

Construction, design, property aur material ko ek chhat ke neeche laane ki soch — taaki Jaipur ke kisi parivaar ko ghar banane ke liye alag-alag darwaze na khatkhatane padein.

Anuda ki kahaani
Anuda team, Jaipur studio mein
Team Anuda · JaipurTeam join karein
Service Areas

Jaipur ke har kone mein Anuda.

Gulabi Nagri ke purane mohallon se le kar naye sectors tak — hum aapke plot tak pahunchte hain.

  • Mansarovar
  • Vaishali Nagar
  • Jagatpura
  • Malviya Nagar
  • Ajmer Road
  • Kalwar Road
  • Jhotwara
  • Govindpura
  • Sirsi Road
  • Tonk Road
  • Sanganer
  • Pratap Nagar
  • Vidhyadhar Nagar
  • Bhankrota
  • Niwaru Road
  • Mahapura
  • Gopalpura
  • Lal Kothi
  • C-Scheme
  • Muhana

Ilaake ke hisaab se asli kaam dekhein · Aapka area list mein nahi? Ek call kijiye

Google Reviews
4.5
★★★★★

134 graahakon ne Google pe Anuda ko review kiya hai — padhiye unhone kya kaha.

Reviews padhein
Graahakon Ki Zubaani

Unke shabd, hamara inaam.

Anuda Construction built our dream home with great quality and modern technology. Highly recommended!
SSMr. Subash SinghBusiness Man, Jaipur
Their professionalism and commitment to excellence make them a trusted choice. Best construction company in Jaipur!
DSMr. Deependra SinghMedical Officer, Jaipur
मैं Anuda Realty टीम का बहुत-बहुत धन्यवाद करती हूँ। उन्होंने मेरे घर का निर्माण बहुत अच्छे से किया। पूरी टीम ने मेहनत और ईमानदारी से काम किया।
BSBhawana ShekhawatHome Owner, Jagatpura
The team was easy to talk to and always kept me updated about the work. The finishing turned out really good. Would definitely recommend them to anyone planning to build a home.
AYAnkit YadavVilla Owner, Pratap Nagar
Aksar Pooche Jaane Wale Sawaal

Mann mein koi sawaal?

Jaipur mein ghar banwane ka kharcha per sq.ft. kitna aata hai?

Anuda mein grey structure work ₹1,299/sq.ft. se aur complete turnkey construction ₹1,999/sq.ft. se shuru hota hai (standard specification). Final rate design, floors aur material ki choice pe depend karta hai — free site visit ke baad likhit quote diya jaata hai. Cost calculator dekhein

Ghar banne mein kitna time lagta hai?

Timeline plot size, design aur floors pe depend karti hai. Aapke project ka stage-wise schedule aur handover ki tareekh agreement mein likhi jaati hai. Anuda zero-delay ka vaada karta hai — aur company ki wajah se handover late hua to contract ke delay penalty clause ke hisaab se penalty Anuda deta hai.

Kya Anuda Vastu ke hisaab se naksha banata hai?

Haan. Anuda Architect ki team Vastu-compliant floor plan, 3D elevation aur VR walkthrough banati hai — main gate, rasoi, pooja ghar aur bedroom ki disha ka poora dhyan rakha jaata hai.

Construction mein kaun se brand ka material lagta hai?

UltraTech, Ambuja ya Birla cement, Tata Steel ya JSW sariya, ISI-marked plumbing, modular switches aur Asian Paints jaise branded material. Har quotation mein brand-wise likhit BOQ hota hai — cement, steel, plumbing, electrical, tiles aur paint ka brand, grade aur quantity.

Anuda kaun si warranty deta hai?

RCC structure — neev (foundation), column, beam aur chhat (slab) — pe 10 saal ki structural warranty, handover par likhit warranty certificate ke saath. Complete (Turnkey) package mein iske alawa 1 saal ki termite warranty aur home insurance bhi milta hai.

Payment kaise hota hai — kya bada advance dena padta hai?

Nahi. Payment milestone ke hisaab se hota hai — har stage poori aur check hone ke baad hi payment. Bada advance nahi liya jaata, aur payment schedule agreement mein pehle se likha hota hai.

Kya construction ke beech material mehenga hone par rate badh jaayega?

Nahi. Agreement mein rate lock hota hai — material ke daam badhne par bhi aapki price nahi badhegi. Price sirf tab badalti hai jab aap khud scope ya specification badlein, aur woh bhi likhit mein.

Kya construction dekhne ke liye baar-baar site jaana padega?

Nahi. Har stage ki photo aur video updates WhatsApp pe bheji jaati hain. Aap jab chahein site visit bhi kar sakte hain — aapka hi ghar hai.

Kya Anuda plot ya flat dhoondhne mein bhi madad karta hai?

Haan. Anuda Live pe Jaipur ke plots, flats, villas aur commercial property dekh sakte hain — documents ki jaanch ke saath.

Kya Anuda Jaipur ke bahar bhi kaam karta hai?

Construction ka kaam mukhya roop se Jaipur aur aas-paas ke ilaakon mein hota hai. Architecture aur design services poore India ke liye online uplabdh hain.

Saare sawaal-jawab dekhein

शुभ काम में देरी कैसी?

Ghar ka sapna, ab aur intezaar kyun?

Aaj hi free site visit book kijiye — hamari team aapke plot pe aayegi, bina kisi charge ke.

Sampark Karein

Chaay pe aaiye, baat karte hain.

Office aaiye, call kijiye ya form bhar dijiye — hamari team jaldi aapse sampark karegi.

Har din · 10:00 AM – 6:30 PM

Head Office

F 37-38, Govindam Tower, Kardhani, Govindpura, Kalwar Road, Jaipur, Rajasthan 302012

City Office

First Floor, Dhariwal Complex, Behind Vidhan Sabha, Janpath Road, Lal Kothi, Jaipur

Samay

Somvaar – Ravivaar · 10:00 AM – 6:30 PM

Free consultation paaiye

Apni zarurat batayiye — baaki hum sambhal lenge.

Aapka number sirf Anuda team ke paas rahega. Koi spam call nahi — pakka.

Namaste! Kaise madad karein?